Google Adsense jisko aj kal log Big G bhi kehtat hain boht acha tareeka ha paisay earn karnay ka issay ap achi money earn kar saktay hain boht se log block bhi hojatay hain lekin agar ap sahi tareekay se aur aqalmandi se kaam karain to boht zada dollar earn kar saktay hain.

aik cheez yaad rakhye thora sabar karna parta ha shuru mein agar ap koshish karain kay kaam start kartay hi pehlay mahinay dollars ki barish hojaye to ye boht bari bewaqufi hogi.



Sabse pehlay aik website chahiye apko jispar ads display karaingay.


Blogspot par jakar account banalain ap aur aik blog start karlain. Ye sabse acha tareeka ha warna bahi free hosting hain boht sari lekin apko knowledge chahiye to blogspot better rahayga .

Phir co.cc par jakar free domain apni website par laga lain.

Ab ap articles likhna shoru karain jo blog banaya ha apnay blogspot par.

Article English mein likhain to behtar ha urdu mein article likhnay se ads achay nahin atay itnay expensive ads nahin atay.

Thora wait karain google time leta ha traffic bhejnay mein kuch din baad apki website par visitors ana shoru hojayengay.

Ads par khud click na karain. Isse ban hojayega confirm apka acoount chahay ap kitna bhi bach lain.

Agar ap ye soch rahay hain kay nani kay ghar se adsense par click kar karkay karor pati ban jayengay to ye apki bhul ha

Shukriya parhnay ka.

0 comments